Romantic SMS 2
Main phool hoon meri khusbho tum ho
Main dil hoon meri dharkan tum ho
Main jan hoon meri rooh tum ho
Main jism hoon meri zindagi tum ho
Main sagar hoon meri halchal tum ho
Main sapna hoon meri tabeer tum ho
Main aks hoon meri haqiqat tum ho
Main saya hoon meri surat tum ho
Main sahil hoon meri aas tum ho
Main lab hoon meri baat tum ho
Main aankh hoon meri roshni tum ho
Main tab hoon mukamal jab sath tum ho
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
teri koshish teri tadbeer hona chahta houn...
main teray hath ki tehreer hona chahta houn...
to merey pass aey or palat kar na jaey...
nmain teray paoun ki zaneer hona chahta houn...
mujhe hajat nahi ab dosaroun k mashwaroun ki...
main khud hi sahib-e-taqdeer hona chahta houn...
azal se khawb ban kar teri ankhoun mai raha houn...
main ab shartminda-e-tabeer hona chahta houn...
main ic liay mismar khud ko kar raha houn...
k teray hath se tameer hona chahta houn....
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
1 Hawa Ka Jhonka Ho Tm..
Mra Sb Se Acha Tohfa HoTm....
Aasman Ka Chamakta Tara HoTm...
Mre Jeny Ka Sahara HoTm....
Dunya Ki Kemti Kitab HoTm...
Mre Liy 1 Gulab HoTm* ....
meri zindaga ka pehla...
aur aakhiri khwaab ho tum..,,,.
“I miss u”
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jaab roop saroop sawar jai
jaab tarey orr chamak jain
jaab dil key ujley sagar mein
umeed ki naiiya parr lagey
jaab dil ki banjarr dharti par
kaliyan chahat ki kheel jain
jaab depak sarey jal jain
to samjho tumhary
dil key soney angan mein
aik chand ney dera dala hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Hum Ghoom Chukey Basti Bun Main
Koi Sajan Ho Koi Pyara Ho
Koi Deepak Ho Koi Tara Ho
Jab Jeewan Raat Andheri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Jab Sawan Badal Chaiyee Hon
Jab Phagan Phool Khilaye Hon
Jab Chanda Roop Lutata Ho
Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho
ya shaam nay basti ghari Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Han Dil Ka Daman Pheela Ho
Kion Gori Ka Dil Mela Ho
Hum Kab Tak Peet Kay Dhokey Main
Tum Kab Tak Doe Jharokey Main
Kab Der Sey Dil Ko Sairi Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Kya Jhagra Sood Khasarey Ka
Yeh Kaam Nahi Banjarey Ka
Sab Sona Ropa Lay Jayee
Sab Dunya Dunya Lay Jayee
Tum Aik Mujhey Behteri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Farz karo k tum sa Sunder na koi hum ne dekha ho
Farz karo k Aankh tumhari bin Kaajal bhi pyari ho
Farz karo k pyar tumhara meri jeevan dhara ho
Farz karo k dekh k tum ko hum ne bhi dil hara ho
Farz karo k pyar me tere hum ko Neend na aati ho
Farz karo k Surat teri din me bhi tarrpati ho
Farz karo k bin tere na ek pal mujh ko Rehna ho
Farz karo k ye sab mujh ko sach much tujh se kehna ho
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Mairee dunyaa sanwaar day koi,
Mujhay thoraa sa pyaar day koi,
Mairee dharkanain baitab kardai,
Mairee aankhoon ko intezar day koi,
Main bhool jaaoon be-qarari ko,
Mujh ko itna qarar day koi,
Apnee zulfoon main qaid karlay,
Mujh ko mujh say farar day koi,
Ashk ankhon say choom loon uss kay,
Khud pay yeh ikhtyaar day koi,
Yeah sab rahatain qurb-o-rafaqat kee,
Mujh ko bas eik baar day koi
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
terey honton ne chupkey se
mujhey ik baat keh di thi
jo khushbu se mau'atter hai
jo chanda se bhi roshan hai
jo titly se bhi nazuk hai
jo masti hai sharabon ki
tamanna hai jo khuabon ki
sada hai jo rubaabon ki
ibaarat hai nasaabon ki
jo surkhi hai gulabon ki
zaya hai chand sitaron ki
jo rangat hai baharon ki
jo gehri hai samander se
jo milti hai muqadder se
jo arfaa hai jahan bher se
jo shereen hai her ik she se
nasheeli hai jo is meh se
jo dherkan hai meri dil ki
rawani hai jo saanson ki
tarawat hai jo aankhon ki
jo palti hai khayalon mein
nahi milti misaalon mein
kaha hai jo dheerey se k
tum mujh se piyar kerti ho
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Baahon main teri ajj bikhar janay do
Mehki saanso main mujhe utar janay do
Raat tanha or sard mosam hai
ajj apni saanson main mehak janay do
Shoq nazrOn ko sharam aati hai
Thartharatay lab ko lab se sil janay do
Bikhra huye gaisuu bikhra hua kajal hai
Ajj rooh ko rooh main samaa janay do
Raat thori aarman dil main baqi hain
Ajj bahOn main hi teri ko kat janay do..
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
main dhoubh jaoun teri ein jheel sii gahri ankho ma
phir apni barbadi ka Eilzam teray nam kar doun
main apni Rouh ko teray Wajod mai bhar doun
phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun
tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam
main apnay payar ka anjam teray naam kar doun
mouhobatoun kay qaseeday likhoun teri sana mai
hazaron payar kay paygham teray naam kar doun
hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai
eik aysa payar ka paygham teray naam kar doun
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Mere Hum Safar Kisi Roz tu
mere paas a mere ru ba ru
kisi roz sun meri guftagu
meri chahato me base huye
mere ansuon se bhare huye
meri shab k lamhe shumaar kar
meri zindagi na azaab kar
woh lafz tere jo nayab hon
wohi lafz mere naam kar
mujhe leke tu kahin door chal
zara haath mera tham kar
mere hum saafr kisi roz tu
mere pas a mere ru ba ru
meri khawahishon ko umeed de
meri zindagi ko naveed de
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Yeh AdhooraPann
Jaisay Adhi Kaali Raat,
Jaisay Aadha Chand,
Jaisay Bin Sooraj Kiran,
Jaisay Bin Badal Barsaat,
Jaisay Jungal Mein Tanha Hiran,
Jaisay Be Aawaz Koiyal,
Jaisay Sookhi tahli,
Jaisay Thehra Hoa Paani,
Jaisay Bin Paani Machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay Bikhari Zulfein,
Jaisay Dolhay Bin Baraat,
Aisay Hi Tum Bin Main,
Aur Mera Yeh Adhora Pann
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Kahin pechy na reh jana.
Kahin tanha na ker jana.
Bary sapne sajain hain.
Bary ansou chupaye hain.
Tmhary 7 kabi aisa he hota hai.
Jo mre 7 hota hai.
Riwayat zamana kyun.
Mjhe bechain krta hai.
Ghamun se choor krta hai.
Mere saalo bane sapne.
Bohut be-noor krta hai.
Magar ye ho nahe sakta.
Juda mai ho nahe skta.
Kahin jeevan ki rahon mai.
Bohut pechy na reh jana.
Mukamy ishq hoya phr.
Koi perward waadi ho.
Tmhain bus mera hona hai.
Mjhe bus tera hona hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai
Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai
Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai
Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai
Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch baki phir yeh jaan baki kyun hai
Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Is Jahan ko dekhta rahoon ya Tujh ko Dekhta rahoon
Tu Mere Samne bethi rahi Tujh ko Dekhta rahoon
Kaash Ghunghat Zamane ka hat jaye
Aur Mai Haseen Aankhon ko Teri Dekhta rahoon
Jab aa jayein Mehfil mai Shama-e-Janaan ban ker
To Mai is Jahan ko chor ker usko Dekhta rahoon
Kaash Mohabbat mai aisa Maqaam aaye ’SaMeeR’
Wo b Mujhe Dekhti rahe, Mai use Dekhta rahoon
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
terii Khushbuu kaa pataa kartii hai
mujh pe ehasaan havaa kartii hai
shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar
guftaguu tujh se rahaa kartii hai
dil ko us raah pe chalnaa hii nahii.n
jo mujhe tujh se judaa kartii hai
zindagii merii thii lekin ab to
tere kahane me.n rahaa kartii hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
main apne daman mein chupa loon tujh ko
dil karta hai apna bana loon tujh ko
marney k baad bhi na tootey rishta humara
main is tarhan se dil mein sama loon tujh ko
tere pyaar ne har cheez se ghafil kar diya
ab dil karta hai tujh se chura loon tujh ko
tere beghair main jee nahi sakti meri jaan
mere paas beth main ye samjha doon tujh ko
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tum ne poocha tha kabhi
kia mein ney muhabbat ko dekha hai
muhabbat to ehsaas hai bas
muhabbat chehra nahi rakhtii
lakin
mein ney dekha hai
haan
mein ney dekha hai muhabbat ko
k meri muhabbat tum ho
aur mein ney tum ko dekha hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Khushi bhi thumse se hai
Gam bhi thumse se hai
Takraar bhi thumse se hai
Pyar bhi thumse se hai
Roothna bhi thumse se hai
Manana bhi thumse se hai
Baat bhi thumse se hai
Misaal bhi thumse se hai
Nasha bhi thumse se hai
Shaam bhi thumse se hai
Zindagi ki shuruvaat bhi thumse se hai
Zindagi main mulakaat bhi thumse se hai
Mohabbat bhi thumse se hai
Inaayat bhi thumse se hai
Kaam bhi thumse se hai
Naam bhi thumse se hai
Khyal bhi thumse se hai
Armaan bhi thumse se hai
Khvab bhi thumse se hai
Maahol bhi thumse se hai
Yaadein bhi thumse se hai
Mulakaatein bhi thumse se hai
Sapne bhi thumse se hain
Apne bhi thumse se hai
Ya yoon kahoon main k
Apni to duniya hi thumse se hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
asar ho raha hai mohabbat k aaaj phir
aaj phir main nagme gungunaane laga hun
pahle main darta tha mohabbat k khel se
ab phir se baazi lagaane laga hun
jiski talaash thi mujhe hamesha
kya tum sachmuch wahi ho
tumhe dekhta hun toh lagta hai
kii kaahin tum khwaab toh nahi ho
bas pad lo meri aankhon main mohaabat apne liye
labon se keh saku itni himmat ab nahin hai
todna mat mera dil jo tumko diya hai
is baar jo main bikhra toh phir judna mumkin nahi hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
kya kahu tujhe main eh pyaar ki moorat
teri taref kissi lafz ki mohataaj nahi
kabhi ek jalti low ho pak-mohhabat ki
sirf sat rango mein simm'ta jiska jahan nahi
kabhi Shabnam samaan pavitar aagni ho
jiske samne kissi aag ka koi tej nahi
kabhi mammta ka anchal ban prem barsaye
chu paye tere parivar ko,aisi koi hawa nahi
chanchal,alharad nadi sa weg tumhara
haar kar rukna jiska kabhi sabhaw nahi
jis sung kadam mila lo,taqdeer badal jaye uski
jo na samjhe teri ehmiyaat,woh shayad insaan nahi
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ishq kae khumaar ki baat kya kahiyae
dil kae qaraar ki baat kya kahiyae
Sare jahan main bas lagta hai wo hasin
Us dilbar kae andaaz ki baat kya kahiyae
Surur hi surur hai nasha hi nasha hai
kaise kat-tae hain din-raat kya kahiyae
Maykade main jaakar bhi chadta nahi nasha
Un ankhon ke jaam ki bat kya kahiyae
Jis raah main ban jayen hum raah wo mere
us pariwash rahguzar ki baat kya kahiyae
Ishq kae khumaar ki baat kya kahiyae
dil kae qarar ki baat kya kahiyae
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha
Zamaane bhar se mera koi waasta na raha
Bohat gehre marasim the Doston se mere
Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha
Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke
Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha
Junoon charha to is tarhan Ishq ka tere
Koi hudood phir koi zaabta na raha
Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili
Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ishq karne k bhi aadab hoa kart hain
Jagti aankhoon k kuch khwab hoa karte hain
Her koi ro k dekha de yeh zrori to nahin
Khushk aankhoon main bhi selab hoa karte hain
Kuch to jeene ki tammna main mare jate hain
Aur kuch marne ko betab hoa karte hain
Taerne waloon pe moqouf nahin hai
Dobne walon se bhi payar hoa karte hain
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Haan Pyaar Nahi,Ishq Nahi,Ibadat Ki Hai
Mein Nay Rasmo Ke Riwajo Say Bagwaat Ki Hai
Apni Mehkmoor Nigaho Mein Basa Kar Muj Ko
Tu Nay Toot Kar Muj Say Jo Mohabbat Ki Hai
Qabool Kar Ke Mujhe Thukra Diya Hai Duniya Ko
Mein Nay Tere Liye Duniya Say Adawaat Ki Hai
Haseen Azaala Hai,Karam Hai Ye He Khosh Bakhti
Apnay Malik Say Mein Jo Shikayaat Ki Hai
Karo Mein Kesay Shhukar Adda Is Nawazish Ka
Mere Mehboob Tu Nay Jo Anayaat Ki Hai
Khud Say Bharr Ke Mein Nay Tujhe Chahaat Ki Hai
Haan Pyaar Nahe,Ishq Nahe,Ibadat Ki Hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ishq main kuch yaas,kuch umeedwari chahiye
kuch tahammul chahiye,kuch beqarari chahiye
jinko husn-o-ishq k daway hain un k waastay
dil hamara chahiye,sorat tumhari chahiye
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ik Din younhi baithay baithay
Uss ne mujh se pooch liya tha
"Tum ne KISI se Pyar kia hai"
"Ulfat ka Izhaar kia hai"
Lekin main Khamoosh raha tha
Wo khud bhi sharmaii thi
thora sa Ghabraii thi
MAIN ne socha Barson pehlay,Jitnay Sapnay dekhay thay
Un sapno ko Tabeeron se Hum ahung kar denay ka
Aik yahi to Lamha hai……….
Lekin phir yeh soocha main ne
Janay is k DIL mein kya hoo???
Janay mujh ko samjhti kya ho??
Mujbooori thi Warna main ne
AIK USSI SE PYAR KIA HAI.
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
ishq aazaad hai, hindu na musalmaan hai ishq
aap hi dharm hai, aur aap hi imaan hai ishq
Allah aur Rasool ka farmaan ishq hai
yaani Hadees ishq hai, Quraan ishq hai
Gautam ka aur Maseeh ka armaan ishq hai
Ye qaaynaat jism hai, aur jaan ishq hai
ishq Sarmad, Ishq hi Mansoor hai
ishq Moosaa, Ishq Koh-e-toor hai
khaq ko but, aur but ko devtaa kartaa ishq
intehaa ye hai ke banday ko Khudaa kartaa hai ishq!
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Mohabbat
Mohabbat aisa naghma hai
zara bhi jhool ho laye main
tu surr qayam nahi hota
mohabbat aisa shulla hai
hawa jesi bhi chalti ho
kabhi madham nahin hota
mohabbat aisa rishta hai
k jis main bandhnay walon k
dillon main gham nahi hota
mohabat aisa poda hai
jo tab bhi sabz rehta hai
k jab mosam nahi hota
mohabbat aisa rasta hai
ager peron main lerzish ho
tu yeh mehram nahi rehta
mohabbat aisa derya hai
k barish rooth bhi jaye
tu pani kam nahi hota
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Main kitna intezar karoon
Main kis se piyar karoon
Jab se tum ne milna chor diya he
Khushbu ne bikharna chor diya he
Phoolon ne mehakna chor diya he
Chiryun ne chehakna chor diya he
Chan ne chamakna chor diya he
Aur dil ne b darakna chor diya he
Savan jane ko he
Bahar aane ko he
Phool khilne ko hain
Sab dost milne ko hain
Ab to aa jao
Main kitna intezar karoon
Main kis se piyar karoon
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Aaj bhi hain mere qadamon ke nishaaN aawaraa
Terii galiyon main bhatakate the jahaaN aawaraa
Tujh se kyaa bichhare to ye ho gayi apni haalat
Jese ho jaaye hawaaon main dhuaaN aawaraa
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jab naam teraa pyaar se likhatii hain uNgaliyaaN
Merii taraf zamaane kii uThatii hain uNgaliyaaN
Daaman sanam kaa haath main aayaa thaa ek pal
Din raat us ek pal se mahakatii hain uNgaliyaaN
Jis din se duur ho gaye us din se hii sanam
Bas din tumhaare aane ke ginatii hain uNgaliyaaN
Patthar taraash kar na banaa taaj ek nayaa
fan_kaar kii zamaane main kaTatii hain uNgaliyaaN
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Ham-safar ban ke ham saath hain aaj bhii
Phir bhii hai ye safar ajnabii ajnabii
Raah bhii ajnabii mor bhii ajnabii
Jaayen ham kidhar ajnabii ajnabii
Zindagii ho gayi hai sulagataa safar
Duur tak aa rahaa hai dhuaaN saa nazar
Jaane kis moor par kho gayii har Khushii
Deke dard-e-jigar ajnabii ajnabii
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Jane kiun mai tujh ko din raat soochta hoon
jane kiun mai teri har baat soochta hoon
Ye pagalpan hy ya piyar hy
Ye kesa mujh pe khumaar hy
Har pAl ho tujh se meri mulaqaat soochta hoon
Jane kiun main tujh ko din raat soochta hoon
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
jayeye aap se nahi bolti
Chooriyan haath main thien
aur haathoon main uska haath bhi tha
sham-e-tanhaye bhi thi
rung aur noor ki barsaat bhi thi
mousamoon ka junoon urooj per tha
dharkanoon per bhi ikhtiyar na tha
uski be-haal larazti howi jawani thi
uski madhosh nigahoon main talab payar ka tha
kanptay haathoon se uske shugufta haathoon main
Chooriyan mujh se na pehnayi gaien
haan mager haath ghayal ho hi gaye
usne nazerien jhuka ker itna hi kaha
jayeye aap se nahi bolti
app se itna bhi nahi hota..!!
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Bataoo kaisa lagta hai
Jab main nahi hota aas pass
Jab koi nahi chalta Aas pass
Jab dil main ik durd uthta hai
Bataoo kaisa lagta hai
jo wada kia sath nibhanay ka
phir khud hi hum ne torde diya
jab wo wada yaad ata hai
bataoo kaisa lagta hai
jab ghuzrti ho un rahoon se
phir dekhti ho Wo flats jahan hum millay thay
phir bharta qadam ruk jata hai
bataoo kaisa lagta hai
jab mahfil main jati ho
logoon main bethti ho
jab ziker maira sunti ho
phir chehra ansoon se bheeg jata hai
bataoo kaisa lagta hai
jab main nahi hota Aas pass
bataoo kaisa lagta hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Main bana hoon sirf tairay liye
mujhe aur kuch to khaber nahien
Main to jisam hoon mairy jaan tu
tairay bin to mairy guzer nahien
Mairy dharkanoon pe likhi hai jo
Tu hai wohi payar ki dastaan
Kahaan jaoon ga tujhe chor ker
Taira dil to hai maira ashiyaan
Sari umer yoon milaingay hum
Hamain is jahan ka koi dur nahien
Main bana hoon sirf tairay liye
Mujhe aur kuch to khaber nahien
Mairy sansoon main hai mehak tairy
Mairy khuwahishoon pe tu chaa gaya
Tairay haathoon ki lakeeroon main
Maira wajood sama gaya
Mujhe tujh se jo juda keray
Yeah to judai main bhi ab aser nahien
Main bana hoon sirf tairay liye,
Mujhe aur kuch to khaber nahien
Tum Bin
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
pyar kya hai
kisi ko itna chahna k oski har baat manane ko dil kary,
itna chahna kdua osky nam se shoro ho aur osi k nam par khatm ho,
itna aetbar karna k dunia mein koi yaken ko behkha na saky,
itna chahna k kisi ki har burai b khubi lagy,
itna chahna k kisi k bin chohye aag si lag jae... yeh hai pyar..
pyar wo nai jo sirf sath honay par hi zaher ho..
pyar sachy ashiq ki tarap, oski baichaini,
bai'krari hai jo sirf apny pyar ke liae hai.
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Sahil Samander per Beth Ker
Jati Serdiyoon ki dhoop ko Betha
Mehsoos Ker Raha hoon..!
Meri Nazar...
Door us paar kinaray ko Chuna Chahti hai...
Theek tumhari Terhan,
Me Use Choo Nahi Sakta...!!
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dil kisi ajnabi pr aitabar karne lagta hai,
Jane kuin...
Kisi ka hamari zindagi mei ana bahar lagta hai,
Jane kuin...
Us se milne k baad hr koi ajnabi sa lagta hai,
Jane kuin...
Chaudwi ka chand mei ankhay us ko dhondhne lagi hein,,
Jane kuin...
Us k bagair hr mausum kizah sa lagta hai,,
Jane kuin...
Humari socho me usi ka khayal laga rehta hai,,
Jane kyun...
Us ki sanson me samane ko ji chata hai,,
Janay Kyun...??
~ Tum Bin ~
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Zindagi Tujhse Shuro Tujhpe Khatum Hui Jati Hai
Ye Kahani bhi Bazahir Mukhtasir Hui Jati Hai
Kab Banay thay Hum or Phir Ab Milen Hain
Janay Konsi Baat Rahi thi jo Ab hui Jati Hai
Kesay Khabar thi wo Milkr bhi na Mil Saka Mujhse
Ab BeKhabr Dunya pe bhi Ye Khabar Aam Hui Jati Hai
Tujhse na Milay Jabtak Khudse na Mil Sakay Thay
Is Haqiqat se ye Zindagi bhi Teray Naam hui Jati Hai
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tujh ko khabar nhi
tujhe yaad karty hain yar pal
tujhe he apne khayalon main
tashkeel kerty hain...
tere he khawab bunte hain...
zindagi ki safar main
tujhe he apna humsafar mante hain
inn Un dekhi Rahon main tuhge he
meherban paate hain
kia tujhe nhi malom ?
keh tum he meri Zindagi ho... !!!
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Paas baitho bhi zara baat suno baat karo,
Do Qadam aur chalo saath sanam baat karo.
Itani sadiyon se taki hamane teri rah sanam,
Aaye ho aaj to kuchh Lamhe ruko baat karo.
Mere dukh dard , mere marz ki jaane do ,
Apni khush haal bahaaron ki to baat karo.
Mere hothon pe hain rok kai rasmon ki,
Tum ho aazad jee chahe woh baat karo .
Jinke ho unke raho hamko kahaan shikawaa hai,
Saamane aa hi gaye ho to zara baat karo.
Unke sar Taj rahe , unka hi Taj bane ,
Mere khwaabon ke sartaj hanso baat karo.
Bhigi Ankhon se nahin saaf dikhai dete
Ho yakeen aap hi ho aap koi baat karo...
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,
Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,
Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,
Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
To jo na thi to is dunia ney bikharna sekha..
Tarey hi aney sey dunia ney badalna sekha..
To jo chalti to hawaon ney bhi chalna sekha...
To jo rukti to samandar ney bhi rukna sekha...
To jo hansti to in kalio ney mahakna seekha...
Tari bato sey in pholon ney bhi khilna sekha...
Ankh ney yad kia ashkqo ney bahna seekha...
Tujhko hi soch k roty huey hansna sekhaa...
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
0 comments:
Subscribe to:
Post Comments (Atom)